Noha Khuwan: Kazmi Brothers
Noha Volume: Kazmi Brothers 2021-22
Composition: Syed Amar Ali Rab
Roi Jab
Ladli Muhammad Ki Sara Darbar Muskuraya Hai.
Haye
Bad-e-Rasool Zahra Par Kaisa Ghurbat Ka Waqt Aaya Hai.
Jaisay
Jaisay Batool Roti Thin Qehqahey Unn Ke Barhtey Jate They.
Sath Jin Ko
Batool Layi Thin Ashk Dono Gawah Bahatay They.
Sab They
Masroof Muskuraney Mein Na Kissi Ko Bhi Taras Aaya Hai.
Tere Mimber
Pe Baithay Gasib Ko Teri Tehreer Bhi Dikhai Hai.
Kar Ke
Tukray Laeen Ne Baba Bharay Darbar Mein Aurai Hai.
Pak Tehreer
Ko Hai Tukron Mein Main Ne Darbar Se Utha Hai.
Main Tu Woh
Hoon Ke Ya Rasool ALLAH Jis Ki Tazeem Aap Kartay They.
Naam Lena Ho
Jab Mera Baba Aap Pehle Darood Parhtay They.
Kya Bataon
Keh Mujh Pe Kya Guzri Oss Ne Tu Keh Ke Jab Bulaya Hai.
Yeh Woh Bibi
Hai Keh Muhammad Bhi Jis Ko Umm-e-Abeeha Kehte They.
Woh Sawali
Bani Khari Thi Magar Samne Kursiyon Pe Baithay They.
Oss Ko
Muslim Kahon Bhala Kyun Kar Jis Ne Bibi Ka Dil Dukhaya Hai.
0 Comments