Top Trending

Ad Code

Responsive Advertisement

Blocked

Translate

Kabhi to Raaz Khulega Noha Lyrics 2023 | MP3 Audio

 

Kabhi to Raaz Khulega Noha Lyrics 2023 | MP3 Audio




 Lyrics


Ya Zehra, Ya Zehra

Ya Zehra, Ya Zehra

 

Khamosh Rahen Kab Tak

Ye Zulm Sahen Kab Tak,

Ham Sach Na Kaheñ Kab Tak

Bas Ashk Piye Kab Tak,

Kisne Ye Zulm Dhaye

Ye Baat Kyun Chhupayen,

Ham Kyun Na Mimbaroñ Se

Ye Daastañ Sunayeñ.

 

Haye….

Kabhi to Raaz Khulega

Zamana Sara Kahga

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima

 

 

 

Logon Ne Tujhe Baad Payamber Ke Sataya,

Afsos Tere Ghar Ko Hi Zindan Banaya,

Jageer Teri Chheen Li Darbar Bulaya,

Pahlu Bhi Tera Zakhmi Hua – Ya Zehra

Jalta Hua Darwaza Gira – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahga

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima

 

Rota Huñ Ke Kis Jurm Ki Ummat Ne Saza Di,

Attharah (18) Baras Me Hui Baalon Me Safedi

Taa-Marg Na Pahlu Se Hata Haath Kabhi Bhi

Kyuñ Zakhm Zamane Ne Diye |Ya Zehra|

Tazim Teri Bhool Gaye |Ya Zehra|

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima

 

 

 

Ummat Ye Bataye Ke Sitamgaar Hui Kyun,

Makhdooma-e-Kaunain Dil-Afgaar Hui Kyun,

Beti Wo Mohammad Ki Azdar Hui Kyun,

Har Dil Ne Yehi Nauha Padha – Ya Zehra

Ye Kahte Huye Pursa Diya – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Ali Ali, Ya Ali Ali

Ya Ali, Ya Fatima

Ya Ali, Ya Fatima

 

 

 

Nazdeek Tha Shahzadi Ka Jab Waqt-e-Shahadat,

Kyuñ Karni Padi Fatima Zehra Ko Wasiyat,

Jab Raat Ho Aadhi To Uthana Meri Mayiyat,

Ye Sunke Ali Rone Lage – Ya Zehra

Dil Thaam Ke Fir Kahne Lage – Ya Zehra

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Ali, Ya Fatima

Ya Ali, Ya Fatima

 

 

 

Thi Kon Si Majboori Batayi Jo Ali Ne,

Chalees (40) Jagah Qabr Banayi Jo Ali Ne,

Dafnayi Nahiñ Laash Chhupayi Jo Ali Ne,

Kha’if The Musalmañ Se Ali – Ya Zehra

Dekhe Na Teri Qabr Koi – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Ali, Ya Fatima

Ya Ali, Ya Fatima

 

 

 

Ik Zakhm To Ye Bhi Tha Kaleje Me Ali Ke,

Jo Log Muhammad Ke Janaze Me Nahiñ The,

Kya Khaak Wo Zehra Ke Janaze Ko Uthate,

Un Logoñ Se Bezar Hai Dil – Ya Zehra

Badle Ka Talabgar Hai Dil – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Ali, Ya Fatima

Ya Ali, Ya Fatima

 

 

 

Dil Soch Ke Rota Hai Nabi-Zaadi Wo Mañzar,

Jab Dekha Dam-e-Ghusl Tera Zakhm Tadapkar,

Yuñ Cheekh Ke Roye The Ali Sabr Ke Paikar,

Rote Huye Kahte The Ali -Ya Zehra

Mazloom Nahiñ Tujhsa Koi – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Lanat Be-Shumar

Lanat Be-Shumar

Lanat Be-Shumar

 

 

 

Haq Jisne Bhi Khaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,

Dil Jisne Dukhaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,

Khooñ Jisne Bahaya Hai Tera Uspe Bhi Lanat,

Mujrim Tere Qatil Haiñ Sada – Ya Zehra

Bhooleñge Nahiñ Ham Ye Jafa – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima Ya Fatima

Ya Fatima Ya Fatima

 

 

 

Kya Ye Hai Mohabbat Ka Sharafat Ka Qareena,

Haider Se Adaabat Thi Ke Zehra Se Tha Keena,

Purse Ke Liye Aaye Nahiñ Ahle Madina,

Aulad-e-Nabi Roti Rahi – Ya Zehra

Zainab Ye Buka Karti Rahi – Ya Zehra.

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima

 

 

 

Tareekh Ki Sachhayi Ko Duniya Ne Chhupaya,

Siddiqa Ki Baatoñ Ko Kisi Ne Nahiñ Mana,

Darbar Me Sach Kisne Kaha Kon Tha Jhoota,

Ghasib Ko Khuda Dega Saza  – Ya Zehra

Kahte Haiñ Yehi Ahle Aza – Ya Zehra

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima

 

 

 

Din Raat Dua Haq Se Karen Mesum-o-Mazhar,

Sach Baat Na Kahne Se Dareñ Mesum-o-Mazhar,

Nauha Teri Turbat Pe Padheñ Mesum-o-Mazhar,

Zalim Hai Jahañ Rab To Nahiñ – Ya Zehra

Hai Rab Ki Adalat Pe yaqiñ – Ya Zehra

 

Haye….

Kabhi To Raaz Khulega

Zamana Sara Kahega

Haye! Mazloom Hai Zehra

 

Ya Fatima, Ya Fatima

Ya Fatima, Ya Fatima




Post a Comment

0 Comments

Featured post

Close Menu