![]() |
Toote Dilo'n Ki Sada Ali Mualana Ali Taaj e Wilayet Tera Ali Mualana Ali Tu Hijaab e Kibriya Ali Mualana Ali Haq Ne Kiya Faisla Ali Mualana Ali Jaan Sheh Dusra Ali Mualana Ali |
Listen to the latest
noha of Muharram 2023 by Mesum Abbas. This is a Hazrat Ali e Murtaza Noha by
Mesum Abbas. Penned by Mazhar Abidi and recited by Syed Mesum Abbas Naqvi.
"Ali Mualana Ali" - Mesum Abbas
Nohay 2023
👉 Title Noha: Ali Maulana Ali
👉 Reciter: Mesum Abbas
👉 Poet: Janab Mazhar Abidi
👉 Additional Poetry: Shah Shams
Tabrez (ra), Janab Shaukat Raza Shaukat
👉 Composition: Mesum Abbas - Mazhar Abidi
👉 Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny -
Shahrukh
👉 Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi
(ODS - KHI)
👉 Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)
👉 Director: Ali Arman Baltistani
👉 Cinematography: Ahsan Raza
👉 2nd Unit DOP: Shoaib Suleman
👉 Camera Operator: Sarib Shah
👉 Art Director: Ally Jafri
👉 Edit: TNA Records
👉 SEO Management / Coordinator / Cover
Design: Yawer Abbas Damani
(YAD Graphics)
👉 Social Media Management: Mussaib
Sajjad (Bangalore-IND)
👉 English Translation: Syed
Muhammad Hasnain Abdi (Peigham E Azadari Pakistan)
👉 Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah
Dar e Hussain - New Jersey, USA)
Ta Surat-o
piwand-i jahan bud Ali bud
Ta naqsh-i
zamin bud zaman bud Ali bud
Shahi ke
wali budo wasi bud Ali bud
Sultan-i
sakha-o karam-o jud Ali bud
Hum Adam-o
hum Shish-o hum Idris-o hum Ayub
Hum
Yusuf-o hum Yunus-o hum Hud Ali bud
Ham Musa-o
ham Issa-o ham Khizr-o ham Ilyas
Ham Salihe
Paygambar-o Daud Ali bud
Taaro'n Ne
Abhi Ankh Na Kholi'n Thi Ali Tha
Na Aman Ka
Paigham Na Holi Thi Ali Tha
Data Tha
Duaien Thi Na Jholi Thi Ali Tha
Khaliq Ki
Zaban Kun Bhi Na Boli Thi Ali Tha
Ali
Mualana Ali
Toote
Dilo'n Ki Sada
Ali
Mualana Ali
Taaj e
Wilayet Tera
Ali
Mualana Ali
Tu Hijaab
e Kibriya
Ali
Mualana Ali
Haq Ne
Kiya Faisla
Ali
Mualana Ali
Jaan Sheh
Dusra
Ali
Mualana Ali
Anghusti
Pe Darwaza Khyber Ko Utahle
Jo Dobte
Suraj Ko Ishare Se Bulale
Tufaan Ka
Rukh Phair Dai Mushkil Se Nikale
Jab Chahe
Jahan Chahe Jise Chahe Bacha Le
Kul Emaan
Hai Tu
Rab Ki
Pehchan Hai Tu
Deen Ki
Jaan Hai Tu
Teri Jo
Fazilat Hai Woh Afsana Nahi Hai
Munkir Hai
Jise Teri Taraf Ana Nahi Hai
Juz Zaar e
Muhammad Koi Pehchana Nahi Hai
Dunya Ne
Tujhe Mana Magar Jana Nahi Hai
Yeh Tera
Jah o Hasham
Sahib e
Taig o Alam
Hai Sab
Tera Sab Pe Karam
Tu Sab Se
Bari Khaliq e Akbar Ki Nishani
Na Uska
Hai Sani Na Tera Koi Sani
Kehte Hain
Yeh Quran Ke Tafseer o Mani
Dunya Ne
Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani
Ayatullah
Bhi Tu
Wajhullah
Bhi Tu
Asadullah
Bhi Tu
Hum Tere
Muqalid Hai Tu Hi Rehbar e Azam
Hai Noor
Tera Noor Khuda Wand Do Aalam
Ek Bhai
Muhammad Hai Tera Noor e Mujassam
Jhutlaye
Meri Baat Ko Kis Main Hai Bhala Dam
Hai Tu Hi
Aalaa Nasb
Sher Haq
Tera Laqab
Keh Rahe
Hai Yahi Sab
Doobte
Suraj Ne Kaha
Chand
Sitaron Ne Kaha
Lal
Qalandar Ne Kaha
Tere Liye
Hamd o Sana
Na Nooh
Thay Na Un Ka Safina Tha Ali Tha
Yasrab Tha
Na Makka Na Madina Tha Ali Tha
Abid Na
Ibadat Ka Qareena Tha Ali Tha
Jis Waqt
Yeh Marna Tha Na Jeena Tha Na Ali Tha
Taskeen e
Dil o Jaan To Ibadat Se Mile Gi
Tasdeeq
Ibadat Ko Muwaddat Se Mile Gi
Sajdo'n Ko
Sand Teri Wilayat Se Mile Gi
Tauheed Hamain
Teri Muhabbat Se Mile Gi
Jo Tujhe
Maane Khuda
Woh Bhi
Munkir Hai Tera
Yeh Aqeeda
Hai Mera
Parhta Hai
Teri Shaan Main Quran Qaseede
Alhamd Se
Walnaas Talak Hai Tere Charche
Quran Ki
Tilawat Se Khule Raaz Ye Saare
Wlfjr Bhi
Wallail Bhi Walshams Bhi Tu Hai
Aql Main
Ata Nahi
Qalb Se
Jata Nahi
Kiya Hai
Samajh Ata Nahi
Juz Tere
Kiya Jis Ne Saloni Ka Yeh Daawa
Jo Pochna
Chaho Ge Jawab Uska Milega
Hathon Ki
Hateli Ki Tarah Se Hai Yeh Dunya
Main Hota
Tere Door Main Tu Poch Hi Leta
Kun Faya
Kun Ka Safar
Yeh Sitaro
Ka Nagr
Kiya Hai
Yeh Shams o Qamar
Ummat Ne
Tere Baad Yateemo Ko Sataya
Mola Teri
Aulaad Ko Hai Khoon Rulaya
Ek Piyase
Musafir Ka Lahu Ban Main Bahaya
Zainab Ki
Rida Loot Ke Khaimo Ko Jalaya
Roti Thi
Karb o Bala
Aaye Sher
e Khuda
Lut Gai
Ale Aba
Jab Sham e
Ghareeba'n Ki Rida Dasht Pe Chai
Ghazi Ki
Behan Ranj o Masaib Ki Satai
Ek Tota
Huwa Neza Liye Pehre Pe Aai
Hathon Se
Jigr Tham Tham Ke Daiti Thi Duhai
Cheen Gai
Meri Rida
Bhai Bhi
Qatl Huwa
Aaye
Karbabola
Kehte Hai
Zamane Se Yahi Mesum o Mazhar
Hum Haider
e Karrar Ki Dehleez Ke Naukar
Rehti Hai
Hama Waqt Sada Ek Ke Labo'n Par
Is Dr Se
Bara Saare Zamane Main Nahi Dar
Malik e
Kono Makaa;n
Saat
Pardo'n Mai Niha
Hai
Aqeedat Ki Azaan
0 Comments